Sunday, 5 February 2012

‎** WILADAT E BA SA'ADAT **"

‎** WILADAT E BA SA'ADAT **" 
   
KHATIBE BAGDADI NE APNI SANAD KE SATH YAH HADIS RIVAYAT KI HAI :  

"HAZRAT AMINA RADIYALLAHU TA'ALA ANHA FARMATI HAI :
JAB NABI E KARIM SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM PAIDA HUYE TO MAINE DEKHA KI EK BAHUT BADI AAG AAYI JIS ME ROSHNIKE SATH GHODO KE HEEN HEENANE AUR PARINDO KE UDNE KI AAWAZ THI,AUR KUCHINSANO KI BOLIYA BHI SUNAYI DETI THI.
FIR EK DUM HUZUR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM MERE SAMNE SE GAYIB HO GAYE AUR MAINE SUNA KI EK AELAN KARNE WALA AELAN KAR RAHA HAI KI,
MUHMMAD SALLALLAHU ALAIHI TA'ALA ALAIHI WASALLAM KO MASHRIQ WA MAGRIB ME GASHT KARAO AUR UNKO SAMUNDAR KI BHI SAIR KARAO TAKEE TAMAM KAYENAT KO INKA NAAM,INKA HULEEYA,INKI SEEFAT MALOOM HO JAYE, AUR INKO TAMAM JANDAR MAKHLUK YANI JINN,INSAN,MALA YEKA AUR CHARIND WA PARINDO KE SAMNE PESH KARO,
AUR INHE
HAZRAT AADAM ALAIHISSALAM KI SURAT,
HAZRAT SHIS ALAIHISSALAM KI MA'RIFAT,
HAZRAT NOOH ALAIHISSALAM KI SHUJA'AT,
HAZRAT IBRAHIM ALAIHISSALAM KI KHULALAT,
HAZRAT ISMAIL ALAIHISSALAM KI JABAN,
HAZRAT ISHAQ ALAIHISSALAM KI HIQMAT,
HAZRAT YAQOOB ALAIHISSALAM BASHARAT,
HAZRAT YUNUS ALAIHISSALAM KI TA'AT,
HAZRAT LUT ALAIHISSALAM KI HIQMAT,
HAZRAT YUSH'A ALAIHISSALAM KA JIHAD,
HAZRAT DAOOD ALAIHISSALAM KI AAWAZ,
HAZRAT DANEEYAL ALAIHISSALAM KI MUHABBAT,
HAZRAT ILYAS ALAIHISSALAM KA WAQAR,
HAZRAT YAH'YA ALAIHISSALAM KI ISMAT,
HAZRAT EESA ALAIHISSALAM KA JUH'AD,

ATA KAR INKO TAMAM PAIGAMABARO KE KAMALAT AUR AKHLAK E HASNA SE MUJAYYAN KAR DO. 

ISKE BAAD WOH BADAL CHHAT GAYA FIR MAINE DEKHA AAP RESHAM KE SABZ KAPDE ME LIPTE HUYE HAI,AUR US KAPDE SE PANI TAPAK RAHA HAI,AUR KOI MUNADI AELAN KAR RAHA HAI KI
WAH WAH KYA MUHAMMAD SALLALLAHU TA'ALA ALAIHI WASALLAM KO TAMAM DUNYA PAR KABZA DE DIYA GAYA,AUR KAYENAT E ALAM KI KOI CHIZ BAKI NA RAHI JO INKE KABZA E IKHTIYAR WA GALBA E ITA'AT ME NA HO.
AB MAINE CHEHRA E ANWAR KO DEKHA TO CHAUDVI (14) KE CHAND KI TARAH CHAMAK RAHA THA AUR BADAN SE PAKIZA MUSHK KIKHUSBU AA RAHI THI,FIR TIN (3) SHAKHS NAZAR AAYE.
EK KE HATH ME CHANDI (SILVER) KA LAUTA, AUR DUSRE KE HATH ME SABZ JAMURRAD KA TASHT, TISRE KE HATH ME EK CHAMAKDAR ANGUTHI THI.
ANGUTHI SE SAAT (7) MARTABA DHOKAR USNE HUZUR SALLALLAHU TA'ALA ALAIHI WASALLAM KE DONO SHANO KE DARMIYAN MUHRE NABUWWAT LAGA DI.
FIR HUZUR SALLALLAHU TA'ALA ALAIHI WASALLAM KO RESHMI KAPDE ME LAPET KAR UTHAYA AUR EK LAMHA KE BAAD MUJE SUPURD KAR DIYA.
> SIRAT E MUSTAFA
BAAB-2 PAGE-51
TAMAM MUSALAMAN BHAIYO AUR BEHNO KO12 RABI UN NOOR MUBARAK. 


 







Bismillah irrahman Nirrahim

***** Sabhi Musalman bhai aur bahan se ek Guzarish ****

Agar tumhey Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ke youm -e-Wildat ki tazim karna pasand nahi to Allah ke liye khamoshi ikhtiyar karey ..kyunki har shaksh apney Aamal ka khud zimmedar hai...magar Allah ke liye Milad un Nabee ke khilaf ulti seedhi sharing ya post karkey Fitna fasad na failaye

Allah Subahanhu ne farmaya ....Mulk mein Talib-e-Fasad na ho.....Beshaq Allah fasaad karney walo ko pasand nahi karta ..(Al Quran 28:77)

Jabir radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alalihi wasallam ne farmaya Iblis apney Lashkaro ko bhejta hai (logon ko bahkaney ke liye) uskey 
nazdeek sabse bada (Shaitan) wo hai jo bada fitna karey ( yani logon ko bhadkaye)
Sahih Muslim, 7105
-------------------------------------------------------------------------------

***** Request to All Respected Muslims Brothers and Sisters *****

If anybody Dont like to Repect the Birth Day of the Prophet peace be upon him then for Allah's sake keep quite because every body is the responsible for his deeds but at least Dont create Fitna by sharing the Anti post of Milad..

Allah Subhanhu says in Holy Quran......And seek not (occasions for) mischief in the land, for Allah loves not those who do mischief....... (Al Quran 28:77)

Jabir radi allahu anhu reported that Allah's Apostle (may peace be upqn him) said: The satan sends detachments of his own in order to put people to trial and the highest in rank, in his eyes, is one who is most notorious in sowing the seed of diss

No comments:

Post a Comment