Saturday 11 February 2012

khoon phir khoon hai




Zulm phir zulm hai, baRhta hai to mit jaataa hai
Khoon phir Khoon hai, Tapkega to jam jaayega

Khaak-e-sehra pe jame yaa kaf-e-qaatil pe jame
farq-e-insaaf pe yaa paa-e-salaasal pe jame
teGh-e-bedaad pe yaa laasha-e-bismil pe jame
Khoon phir Khoon hai Tapkega to jam jaayega

laakh baiThe koi chhup chhup ke kameeN gaahoN meiN
Khoon Khud deta hai jalaadoN ke maskan ka suraaGh
saazisheiN laaKh uRaati raheiN zulmat ka naqaab
le ke har booNd nikalti hai hatheli pe chiraaGh

zulm
kii qismat-e-nakaarah-o-rusvaa se kaho
jab’r kii hikmat-e-purkaar ke eema se kaho (eema = permission)
mehmal-e-majlis-e-aqwaam kii laila se kaho
Khoon diiwana hai, daaman pe lapak sakta hai
shola-e-tuNd hai, Khirman pe lapak sakta hai

tum ne jis Khoon ko maqtal meiN dabaanaa chaaha
aaj vo kuchaa-o-bazaar meiN aa nikla hai
kahiiN shola kahiiN naarah kahiiN patthar ban ke
Khoon chalta hai to rukta nahiiN sangeeno se
sar jo uThtaa hai to dabtaa nahiiN aaeeno se

zulm ki baat hi kya, zulm ki auqaat hi kya
zulm bas zulm hai, aaGhaaz se anjaam talak
Khoon phir Khoon hai, so shakl badal sakta hai
aisi shakleiN ke miTaaoo to miTaaye na bane
aise shole k bujhaao to bujhaaye na bane
aise naare k dabaao to dabaaye na bane

———————

Here’s a translation of the nazm

BLOOD IS BUT BLOOD !

A slain Lumumba is by far mightier than a living Lumumba -Nehru

Repression is sill repression
Rising, it must flop
Blood is sill blood
Spilling it must clot.

Whether it clots on desert sands
Or upon assassin’s hands
On justice’s head or around shackled feet
On injustice’s sword or on the wounded corpse
Blood is still blood
Spilling, it must clot.

However much one lies in ambush
Blood betrays butcher’s hideout
Conspiracies may veil in thousand darkly mask
Each blood drop ventures out with burning lamp on its palm.

Tell oppression’s vain and blemished fate
Tell cruelty’s crafty Imam
Tell the UN Security Council
Blood is crazy
It can leap up to the cloak
It is inferno, it can flare up to burn grain-stock.

The blood you sought to suppress in abattoir
Today that blood moves out into street
Here an ember, there a slogan, there a stone
Once blood comes to flows
Bayonets are no avail
Head, once it is raised
Is not downed by law’s hail.

What is about oppression?
What is with its impression?
Oppression is, all of it, but oppression
From beginning to end
Blood is still blood
Myriad form it can assume
Forms such as are indelible
Embers such as are inextinguishable
Slogans such as are irrepressible.






http://sumerasblog.wordpress.com/2009/02/01/khoon-phir-khoon-hai/

No comments:

Post a Comment