Ab to ghabra ke ye kahte hain ke mar jayenge Mar ke bhi chain na paya to kidhar jayenge
Ab to ghabra ke ye kahte hain ke mar jayenge Mar ke bhi chain na paya to kidhar jayenge Tum ne Thahrayee agar Gair ke ghar jaane ki To iraade yahaan kuchh aur Thahar jaayenge Ham nahin vo, jo karen Khoon kaa dava tujh par Balki puchhegaa Khuda bhi to mukar jaayenge Aag dozakh ki bhi ho jaayegi paani paani Jab ye aasi arq-e-sharm se tar jaayenge Sholaa-e-aah ko bijali ki tarah chamakaun Par mujhe Dar hai, ki vo dekh kar Dar jaaenge Laaye jo mast hain turbat pe gulaabi aankhen Aur agar kuchh nahin, do phool to dhar jaayenge Nahin paayegaa nishaan koi hamaara hargiz Ham jahaan se ravish-e-tir-e-nazar jaayenge Pahunchenge rahaguzar-e-yaar talak ham kyun kar Pahle jab tak na do aalam se guzar jaayenge 'Zauq' jo madarase ke bigare hue hain mullaah Unko maikhaane men le aao sanvar jaayenge