Tuesday, 18 March 2014

Ab to ghabra ke ye kahte hain ke mar jayenge Mar ke bhi chain na paya to kidhar jayenge

Ab to ghabra ke ye kahte hain ke mar jayenge
Mar ke bhi chain na paya to kidhar jayenge

Tum ne Thahrayee agar Gair ke ghar jaane ki
To iraade yahaan kuchh aur Thahar jaayenge

Ham nahin vo, jo karen Khoon kaa dava tujh par
Balki puchhegaa Khuda bhi to mukar jaayenge

Aag dozakh ki bhi ho jaayegi paani paani
Jab ye aasi arq-e-sharm se tar jaayenge

Sholaa-e-aah ko bijali ki tarah chamakaun
Par mujhe Dar hai, ki vo dekh kar Dar jaaenge

Laaye jo mast hain turbat pe gulaabi aankhen
Aur agar kuchh nahin, do phool to dhar jaayenge

Nahin paayegaa nishaan koi hamaara hargiz
Ham jahaan se ravish-e-tir-e-nazar jaayenge

Pahunchenge rahaguzar-e-yaar talak ham kyun kar
Pahle jab tak na do aalam se guzar jaayenge

'Zauq' jo madarase ke bigare hue hain mullaah
Unko maikhaane men le aao sanvar jaayenge

No comments:

Post a Comment