Sunday, 3 February 2013

Zindagi Ki Kitab

Yeh Jo Zindagi Ki Kitab Hai
Yeh Kitab Bhi Kiya Kitab Hai

Kahin Ek Haseen Sa Khawab Hai
Kahien Jaan Laiwa Azab Hai
... ...
Kahien Ansuon Ki Ha Dastaan
Kahien Muskarahaton Ka Bayan Hai

Kai Chehre Is Mein Chupay Huwe
Ek Ajeeb Sa Ye Naqab Hai

Kahien Kho Diya Kahien Paa Liya
Kahien Ro Liya Kahien Ga Liya

Kahien Cheen Leti Hai Her Khushi
Kahien Meharban Be-Hesaab Hai

Kahien Barkatoon Ki Hain Barishen
Kahien Tashnagi Be-Hesaab Hai...


.........................................................................................................................................................
Asar dil per karay shikwa, shikayat ho toh esi ho.
Galay lag kar woh roye, Nadamat ho toh esi ho.

Yehi mehsoos ho jesay kai sadiyan guzari hain
Faqat ek pal ki furqat mey, Aziat ho toh esi ho.

Door ho kar usey bhi sukoon na miley,
Yaado ki be'qarari ho toh esi ho.

Pehlu mey yaar ki parchaie ko youn mehsoos karey
Logo ke beech reh kar bhi tanha rahey, ehsas e dil'lagi ho toh esi ho.

Mey ju sochoon unhey, unki dharkaney bhi mera naam ley,
Bichar kar bhi bhool na paaye, yaado ki barsat ho toh esi ho

Mujhe kanta chubay or us ki aankhon se lahu tapkey,
Talluq ho toh esa ho, MOHABBAT ho toh esi ho.. ♥

No comments:

Post a Comment