Saturday, 20 January 2018

koī ummīd bar nahīñ aatī - Ghalib

koī ummīd bar nahīñ aatī

koī sūrat nazar nahīñ aatī


maut kā ek din muayyan hai

niind kyuuñ raat bhar nahīñ aatī


aage aatī thī hāl-e-dil pe hañsī

ab kisī baat par nahīñ aatī


jāntā huuñ savāb-e-tā.at-o-zohd

par tabī.at idhar nahīñ aatī


hai kuchh aisī hī baat jo chup huuñ 

varna kyā baat kar nahīñ aatī


kyuuñ na chīḳhūñ ki yaad karte haiñ 

merī āvāz gar nahīñ aatī


dāġh-e-dil gar nazar nahīñ aatā 

bū bhī ai chārāgar nahīñ aatī


ham vahāñ haiñ jahāñ se ham ko bhī

kuchh hamārī ḳhabar nahīñ aatī


marte haiñ aarzū meñ marne kī

maut aatī hai par nahīñ aatī


kaaba kis muñh se jāoge 'ġhālib' 

sharm tum ko magar nahīñ aatī

No comments:

Post a Comment