Saturday, 20 December 2014

Fuuny Bones



Mard Honi Chahiye, Khatoon Hona Chahiye,
Ab Grammer Ka Yehi Kanoon Hona Chahiye,

Nursery Ka Daakhla Bhi Ab Sar’sari Mat Janiye,
Aap Ke Bache Ko Aflaatoon Hona Chahiye,

Raat Ko Bache Parhayi Ki Aziyat Se Bache,
In Ko TV Ka Bohat Mamnoon Hona Chahiye,

Doston English Zaroori Hai Hamare Wastey,
Fail Honey Ko Bhi Koi Mazmoon Hona Chahiye,

Sirf Mehnat Kya Hai Anwar Kamyaabi Ke Liye,
Koi Ooper Se Bhi Telephone Hona Chahiye..

(khatoon;lady)(sar’sari;easy)(mamnoon;thankfull)



Mera dil teri hi mohabbat ke liye hai,
Magar yeh offer mehdood muddat ke liye hai..



Hum ishq may bhi kamaal karthay hai 
I Love you Likh jar Send to all karthe hai



Kal jab milay thay to dil me hua eik sound,
Or aaj milay to kehte ho your file not found,

Jo muddat se hota aaya hai wo repeat kar dunga,
Tu na mili to apni zindagi ctrl+alt+delete kar dunga,

Shayad mere pyar ko taste karna bhool gaye,
Dil se aisa cut kia ke paste karna bhool gaye,

Lakhon honge nigah me, kabhi mjhe bhi pick karo,
Mere pyar ke icon pe kabhi to double click karo..



Hai aap ke honton pe jo muskaan wagera,
Qurbaan gaye is pe dil-o-jaan wagera,

Billi to yunhi muft main badnaam huyi,
Thailay mein to kuch aur tha samaan wagera,

Be’hirss o gharzz farzz adaa ki jiye apna,
Jis tarah police karti hai chalaan wagera,

Ab hosh nahin koi ke badaam kahan hai,
Ab apni hatheli pe hain dandaan* wagera,

Har shirt ki bushratt bana dali hai Anwar,
Yun chaak kiya hum ne garebaan* wagera..

(dandaan;artificial teeth)(garebaan;collars)




Dhoka mila jab pyar main,
Zindagi mein udaasi chaa gayi,

Socha tha chorr dain is raah ko,
Kambhakht mohalley mein dusri agayi..




Meray dil mai dhoom jis larki ne mcha “rakhi” hai
Naam us shokh Haseena ka “Allah-rakhi” hai

Main “Allah-rakha” hoon, Wo “Allah-rakhi” hai
Shayad Allah ny wo mere liye hi bana “rakhi” hai

Kehtay hain k “rakhi”hui cheez hi kaam aati hai
Is liye mene”rakhi” se laga”rakhi” hai

Ab Haqiqat to ye batany k liye “rakhi” hai
Ke “rakhi” ne raton ki neend ura “rakhi” hai

Ye kya tumne “rakhi rakhi” laga “rakhi” hai
Kambakht”rakhi” ne to ksi or se laga “rakhi” hai.



Tujhe Mujhse Mujko Tujse Jo Bohat Hi Pyar Hota..




Tujhe Mujhse Mujko Tujse Jo Bohat Hi Pyar Hota,
Na Tujhe Qaraar Hota Na Mujhe Qaraar Hota,

Tera Har Marz Ulajhta Meri Jaan-e-natwaan Se,
Jo Tujhe Zukaam Hota Tou Mujhe Bukhaar Hota,

Jo Mein Tujko Yad Karta Tujhe Cheenkna Bhi Parta,
Mere Sath Bhi Yakeenan Yehi Bar Bar Hota,

Kisi Chowk Mein Lagate Koi Chooriyon Ka Khokha,
Tere Sheher Mein Bhi Apna Koi Karobaar Hota,

Gham-o-ranj Aashiqana Nahin, Calculator’aana,
Isey Mein Shumaar Karta Jo To Be’shumaar Hota,

Wahan Zer-e-behess Atey Khat-o-haal O Huye-hubaan,
Gham-e-ishq Per Jo Anwar Koi Seminar Hota..

(zukaam;flu)(khokha;stall)(zer-e-behess;under discussion)(khat-o-haal;situation)(huye-hubaan;situation)





Ye baat samajh me aayi nahi,
Aur mummy ne samajhai nahi.

Mai kaise mithi baat karu?
Jab mithi chiz koi khai nhi.
Ye chand kaise maamu hai?
Jab mumy ka wo bhai nahi.

Kyu lambe baal hai bhaalu ke?
Kyu usne triming karai nahi.
Kya wo bi ganda bachha hai?
Ya jungle me koi naai nahi.

Nana ki biwi jab nani hai,
Dada ki biwi jab dadi hai.
Papa ki biwi kyon papi nahi?

Samundar ka rang kyu neela hai?
Jab neel kisi ne milai nahi.
Jab school me itni neend aati hai.
Toh kyu bed waha rakhwai nahi?

Ye baat samajh mein aayi nahi
Aur mummy ne samjhai nhai.




http://www.ranjish.com/shayari/mazahiya-shayari

1 comment: