Monday 24 September 2012

Ghazal (Tarahi)


‎---------------------------------------------------------------------
TARAHI GHAZAL NO. =1
----------------------------------------------------------------------
01-Jaha'n me'n paida hue yu'n to sab nabi mukhlis
Mere nabi se ziyada na tha koi mukhlis

02-Kare jo khidmat e makhlooq, fee sabeelil laah
Wahi to shakhs hai duniya meN waaqai mukhlis

03-Daroon e jism koi hai, jo reh dikhata hai
Chhipa hua hai mujhi meN mira koi mukhlis

04-Chhipi hui hai pas e parda e khuloos..gharaz
Mila nahiN mujhe ab tak ik aadmi mukhlis

05-Hai fikr e sood o ziyaaN meN jo mubtila har waqt
Kabhi bhi ho nahiN sakta wo aadmi mukhlis

06-Na raas aai kabhi dil ko koi kaifiyyat
Kabhi khudi to kabhi hai ye be khudi mukhlis

07-SaoobatoN ko banaya hai hamsafar jab se
Har ek raah guzar jese ho gai mukhlis

08-Talaash kar hi liya maqsad e safar ham ne
Qadam badhe heN usi reh pe jo lagi mukhlis

09-Fareb lagne lagiN fateh yaabiyaN mujhko
Hui hai jab se miri khud shikastgi mukhlis

10-Dikha hi deti hai insaaN ko aayina ik din
Hamesha rehti nahi hai ye zindagi mukhlis

11- Mizaj e nafs kabhi ek sa nahiN rehta
kabhi kabhi to hai dushman, kabhi kabhi mukhlis

12-nuzool e subh....aNdhere aziz hote hen
tulu_a e sham meN lagti hai roshni mukhlis

13-Buhat sukoon se guzra hai ye baras "saalim"
Miri talaash meN aaya na ek bhi mukhlis
---------------------------------------------------------------------
TARAHI GHAZAL NO. = 2
---------------------------------------------------------------------
01- Hai koi shakhs munaafiq to hai koi mukhlis
JahaN meN hota nahiN hai har aadmi mukhlis

02-KahaN naseeb heN sabko mahabbateN sab ki
Har aadmi ka nahin hai har aadmi mukhlis

03-Tamam rishta e ikhlaas khatm kar aaya
Na meN kisi ka na mera hai ab koi mukhlis

04-Wo bad gumaan tha kal bhi, hai aaj bhi bad zan
MaiN pur khuloos tha kal bhi, hooN aaj bhi mukhlis

05-Wo ek shakhs hi sab se bada adoo nikla
Jise samajhta raha saari zindagi mukhlis

06-Muhaafizat ke liye jis ka intikhaab kiya
Saf e ghaneem* meN paya gaya wahi mukhlis ( lutera*)

07-Zaroor bughz o hasad ne kiya hai aamada
Wagarna yuN na dikhata shaguftagi ..mukhlis

08-SadaqatoN ka tasawwur bhi be naqaab hua
Na koi mudda-a sachcha, na mudda-yi mukhlis

09-Ameer e shehr se milta hai mujrimoN ki tarah
Bana hi deti hai insaaN ko buzdili, mukhlis

10-GuloN ka kya hai ye murjha ke gir bhi sakte heN
Chaman ke waste hote heN khaar hi mukhlis

11-Zara si der jale, jal ke bujh gaye ye charaagh
"Kabhi hui na hamari ye roshni mukhlis"

12-Badalte rehte heN rishte bhi karvateN "saalim"
Na koi daaymi dushman, na daaymi mukhlis

No comments:

Post a Comment